Monday, June 11, 2007

Tanha Huin Mein

Tanha aaya
Tanha chala
tanha raha tanha raha

Tanha huin mein sada tanha raha

Jindagi mein kabhi
na koi suraj uga
Ujala bhi na dekha kabhi
Andhera bhi to badta raha

Tanha huin mein sada tanha raha

Na dekha koi savera kabhi
Jindagi ka suraj sada dooba raha
dooba raha
Sada dooba raha
Sitaare bhi na kabhi
koi jagmag hue

Tanha huin mein tanha raha

Dukh ke badal jo the
Sukh ke taaron ko vo dhakte rahe
Roshna unko na hone diya

Tanha huin mein sada tanha raha

Tanhaayi mein mera dum
ghut ta raha
Ghut ta rahaaaa

Tanha huin mein sada tanha raha

Na tha koi
apna mera
Jo bhi koi mujhko mila
vo sada paraya raha

Dost koi
kabhi na mila
Dushman bana jamana mera
Phool koi
kabhi na khila
Kaante hi sada
chubte rahe

Tahna huin mein sada tanha raha

Akela hi sada chalta raha
Dhoop mein hi sada
jalta raha
Sheetal chhaon
kabhi na mili
Koi thandak kabhi mil na saki

Tanha huin mein sada tanha raha

Pyaar kabhi na
kisi ka mila
Nafarat bhari
nigaahein miliiiiii

Tanha huin mein sada tanha raha

Jindagi ne bhi na kabhi
kucch bhi mujhko diya
Maut ne bhi
mujhko thukra diya
Maut ke liye bhi
tadapata raha

Tanha huin mein sada tanha raha.......

8 comments:

Sud said...

Kahan se taapa be ise?? :D ... kaafi acha hai, Mr Sento!! :D

Abhi said...

Tapaaaa????
Abe vo maam xams mein hota hai keval :)

Rohan Mishra said...

wah wha..
mast hey...
lekin itni tanhaai tereko kaise milli.. mereko bhi chahiye..
thoda bataana..:P

Ramya said...

Hmm...Nice one!!!
Enjoyed reading it....

Varun N. Achar said...

Mujhe dikha kya aur tu nikla kya...

Abhi said...

@Varun
its musings_feelings

Unknown said...

meet the latest shayar in town....Mr dholu...jo friend list mein 281 dost hote hue bhi tanha hai :p
Neways...an very solid start and next time plzzzz is sento mood se bahar nikal ke kuch likh.

Royal Stag said...

Man!!! you are worse than me!

Somebody left me a suicidal message on my blog, you are actually going to get someone dead.


Where did you conjure all this up from?