Tuesday, June 12, 2007

Maine use dekha

As demanded by friends to change the taste..
This is something new :

Maine use dekha

Mein ja raha tha
praatah bhraman par
ja raha tha
ya le jaya ja raha tha
kisi prerna se.....
Unuchti si thi neend or shayad adkhule the palak
Jab maine use dekha

shaaal mein lipti ek saundarya or saadagi ki murat
os se bhigi hui thi uski pyaari surat
Vo bhi shayad ja rahi thi pratah bhraman ke liye

Jab maine use dekha

Adhkhule nayan bhi shayad khul gaye the use dekh kar
Aur shayad unuchti si neend bhi uchat gayi thi uske darshan ke liye

Jab maine use dekha

Uske lambe kesh bhi jaise uski shobha badaa rahe
uske kajrare nayan jaise mujhko sata rahe
Paseene ki boond se bheega uska chehra
lagta tha mano os se gulaab bheega ho
uska sharmaya sa
ya shayad thoda sakuchya sa ya thoda ghabraaya sa chehra
Uske chehra ki shikan bhi
to uski shobha mein char chaand lagaa rahe
ye sab hi shayad mujhe likhne ki prerna de rahe

Jab maine use dekha

Us vaqt mein soch rahaa
shayad yahi thi vo prerna
jo mujhe bhraman par aane ko thi
majboor kar rahi
or shayad mere dil ki dhadkan
mujhe kucch kahne ko majboor kar rahi
jab meine use dekha

Lekin samay par hai kiska bas chal saka
hai koi aisa jo samay ko kaid kar sakaa

Jab maine use dekha


Aur mere dekhta hi dekhte
vo door kahin nikal gayi
or shayad mujhe bhraman par
aane ko majboor kar gayi

Jab maine use dekha

2 comments:

Unknown said...

dholu on a blogging spree
yeh hui naa kuch baat :)

YourFriend said...

I didnt know abt the poet inside Dholu